Abhi abhi bhoole bhi na the tumhe
Khayal banke phir tum aa gaye
Ehsaas jo thhe dil mein kayi ankahe
Lafzon pe woh phir yun aa gaye

Saanson ke sarzamin par barshaat la gaye
Ek jhapki mein tere sau khaab aa gaye
Bepannah... bepanah...
Pyar hai tumse
Bepannah... bepanah...
Pyar hai tumse

Maanti hoon khuda tujhiko
Tu hi to hai rehbar mera
Ab se khalipan mein bhi tu
Paas mere khada
Tu hai nahi yahaan
Ye na yaqeen huaa
Kaise karoon ye khud se bayaan
Bikhri hoon har jagah
Main ret ke tarah
Na mere dard ki hai dawa...

Saanson ke sarzamin par barshaat la gaye
Ek jhapki mein tere sau khaab aa gaye
Bepannah... bepanah...
Pyaar hai tumse
Bepannah... bepanah...
Pyaar hai tumse

Toot ke bikhra pada hoon
Saans lena bhi hai sazaa
Jeene mein ab kya rakha hai
Mar raha sau dafaa
Kaisi ye saazishein
Roothi hai ranjishein
Leti hai karwatein zindagi
Ab kis mod par aakar ruka hoon main
Na koi raah hai na pataa...

Saanson ke sarzamin par barshaat la gaye
Ek jhapki mein tere sau khaab aa gaye
Bepannah... bepanah...
Pyaar hai tumse
Bepannah... bepanah...
Pyaar hai tumse

Hai alag yeh baat phir bhi
Tu mera na kabhi huaa
Phir bhi maine tujhko apne
Dil mein di hai jagah

Tu mera naa huaa
Ab ye yaqeen huaa
Kya thi meri khata
Tu bataa
Jaaun kahaan main ab
Manzil ka na pataa
Thehra hoon iss qadar tujhmein haan

Saanson ke sarzamin par barshaat la gaye
Ek jhapki mein tere sau khaab aa gaye
Bepannah... bepanah...
Pyaar hai tumse
Bepannah... bepanah...
Pyaar hai tumse