Bujh gaya tha kyun diya (x3)

Zyada hi bachaya tha
Milan ki raat jaag kar
Isliye, isliye woh bujh gaya
Woh bujh gaya, woh bujh gaya

Murjha gaya phool kyun (x2)

Pyaar ki bechainiyon mein
Usko seene mein daba rakha tha maine
Isliye murjha gaya, murjha gaya, murjha gaya

Kisliye sookhi nadi
Kisliye sookhi nadi aa...
Kisliye sookhi nadi

Baandh bandha tha zaroorat ke liye uss par
Baandh bandha tha zaroorat ke liye uss par
Hamesha ke liye rakh loon
Isliye sookhi nadi
Isliye sookhi nadi

Taar chatkha saajh ka kyun (x2)

Uski had se zyada
Khinch gaya tha
Sur lagaane mein
Isliye taar chatkha isliye, isliye
Mmm...