Dil ibaadat Rab se zyada teri karne laga
Zindagi pe tu hukoomat meri karne laga
Tu meri manzil
Main tera musaafir
Dono jahaan mere tujhme hi haazir

Rakkha hai maine iss dil ko khaali
Bas ek teri chahat ki khaatir
Tu hi meri hai pehli tamanna
Aarzoo hogi bas tu hi aakhir

Bin tere kat'te hain lamhe mere
Awaargi mein, awaargi mein
Dil ko sukoon milta hai bas ik teri
Maujoodgi mein, maujoodgi mein

Jo tu nazar naa aaye
Na koi manzar bhaaye
Sadiyon ke jaisa mera
Har ik lamha ban jaaye

Din raat mere
Galiyon mein tere
Deedaar tera paane ke khatir
Tu hi meri hai pehli tamanna
Aarzoo hogi bas tu hi aakhir

Baahon se teri nahin hai haseen
Manzil koi, manzil koi
Chaah se teri hai badhkar nahin
Haasil koi, haasil koi

Jee lunga jeene ka jo
Mera zariya ban jaaye
Chaahat ki pyaas ka tu
Mera dariya ban jaaye

Kuch keh sake na lafzon se jo tu
Aankhon se apni sab karde zaahir
Tu hi meri hai pehli tamanna
Aarzoo hogi bas tu hi aakhir