Aah umar 4
Jeb mein jhol ke rupay pade 5 hai
Tere liye woh toffee
Meri mission usey banana 8 hai

Umar 7
Meri maa mere saath nahi hai
Na kiya intezar
Aisa ek raat nahi hai
Akele khana khana
Usme kuch swaad nahi hai

Nani-maa bhi boli
Haan beta baat sahi hai
Par beta tu to sher hai
Samasya to apna khel hai
Waise bhi jungle hai
Banja tu shikari

Jaan teri le lunga
Banunga na bhikari
Umar meri 10
Bas kar raha main chamari

Computer se pahle seekha
Humne dena gaali
Kaan me baali
Alag chaali
Setting setting khelo

Aayi samasya, bas kya
Usko saath mein jhelo
Bada jhol to usko baant ke lelo

Umar 13
Kaan se behra hone tak
Usko saath mein dedo

Tujhme ye khoon nahi
Tujhme junoon nahi
Tujhme mein noor nahi
Tera kasoor nahi
(x2)

17 pe khatra nahi
17 pe sapna tha
Mere haath mein tha mic
Tere haath mein jab chakhna tha
Ek ek line likhne ke liye rakhda tha
Phir likhne laga
Jo bhi sar mein mere chakhra tha

21 pe mere aadhe dost the 30 ke
Jhooth bolta nahi
Laga main dum kheechne
Bike uda ke
Dhoonde banda paisa kahan se
Gaane banake
Zariya dhoonde daale kahan se

Hua 24 pe sign
Hastakshar nahi aaya
24 pe shine mere
Gali ke bahar jaise roadies ka line
Public ne banaya mujhe
Meri maa ko wapas laana mera khwab tha
Din raat dono rap me lagaya maine
Nuclear dhamaka hota kaise ye bata maine
Bhardol mein Gandhi kamaya maine
Bhai log ko kabhi bhulaya nahi
Mere baap ne mujhe chhoda par
Woh mere liye paraya nahi
Underground king
Par aapne aap ko kabhi dabaya nahi
Maa ko wapas laaya maine
Mere khoon mein hi mehnat hai
Shuru se hi bataya maine

Tujhme ye khoon nahi
Tujhme junoon nahi
Tujhme mein noor nahi
Tera kasoor nahi
(x2)