Jo mil na paaye vo karne ko hasil
Jee chahta hai jee chahta hai
Auzee badan mein dubone ko sahil
Jee chahta hai jee chahta hai

Ya ho munasib ya na munasib
Hona nahi hai ab door humko
Ya ho munasib ya na munasib
Hona nahi hai ab door humko

Ek sath jal ke apni tapish mein
Hai raakh hona manzoor humko

Main dard hoon tu hai dawa
Mile jo hum to ho nasha
Ye hai nasha to chadhne do
Toofan hai to badhne do
Doob ke ubhrenge hum
Nikalenge yahin

Ya ho munasib ya na munasib
Hona nahi hai ab door humko

Ek sath jal ke apni tapish mein
Hai raakh hona manzoor humko
Main dard hoon tu hai dawa
Mile jo hum to ho nasha

Sanak si ek sawar hai
Ye ishq ka khumaar hai
Janam janam ka saath hai
Main din tera tu raat hai
Zindgi paake tujhe
Khoyenge hum nahi

Ya ho munasib ya na munasib
Hona nahi hai ab door humko

Ek sath jal ke apni tapish mein
Hai raakh hona manzoor humko
Main dard hoon tu hai dawa
Mile jo hum to ho nasha