Gulaabi aankhen jo teri dekhi
Sharaabi yeh dil, ho gaya
Sambhalo mujhko o mere yaaron
Sambhalna mushkil ho gaya

Dil mein mere khwaab tere
Tasveerein jaise ho deewaar pe
Tujhpe fida main kyon hua
Aata hai gussa mujhe pyaar pe
Main lut gaya maanke dil ka kaha
Main kahin ka na raha
Kya kahoon main dilruba
Bura yeh jaadu teri aankhon ka
Yeh mera kaatil ho gaya

Gulabi aankhein jo teri dekhi
Sharaabi yeh dil ho gaya

Maine sada chaaha yehi
Daaman bacha loon haseeno se main
Teri kasam khwaabon mein bhi
Bachta fira naazneenon se main
Tauba magar mil gayi tujhse nazar
Mil gaya dard-e-jigar
Sun zara o bekhabar
Zara sa hanske jo dekha tune
Main tera bismil ho gaya

Gulaabi ankhen jo teri dekhi
Sharaabi yeh dil ho gaya
Sambhaalo mujhko o mere yaaron
Sambhalna mushkil ho gaya