Ye jo halka halka suroor hai
Tere ishq ka hi fitoor hai
Maine jo likha tha mita diya
Aur tujhko apna Khuda kiya

Ye jo halka halka suroor hai
Tune kuch kiya to zaroor hai
Jis din se tu hai dikha piya
Maine saans lena bhula diya

Jism se rooh ka
Ik safar ho tum
Aakhiri saans mein
Ik umar ho tum

Duniya ki bheed mein
Mujhko bas tu dikhe
Kya main tumko dikhu
Kaho na tum

Ye jo halka halka suroor hai
Kuch ishq sa toh zaroor hai
Main jagna sona bhula diya
Mujhe kya se kya hai bana diya

Tu mere khoon mein
Beh raha hai kahin
Tu mere khwab mein
Jag raha hai kahin

Meri har baat mein
Bas tera zikr hai
Kuch mere baare mein
Kaho na tum

Ye jo halka halka suroor hai
Tere ishq ka hi fitoor hai
Maine jo likha tha mita diya
Aur tujhko apna Khuda kiya

Kisi ne na kiya hai
Jaisa ishq tera mera
Main daudta aata hoon
Koi naam le jo tera

Kisi ne na kiya hai
Jaisa ishq tera mera
Mere ghamon ki raat ka
Tu ujla savera (x2)

Rehne do na nashe mein
Tum phero na nazar
Halka sa hi aaya hai
Abhi chahat ka asar

Kisi ne na kiya hai
Jaisa ishq tera mera
Main daudta aata hoon
Koi naam le jo tera

Kisi ne na kiya hai
Jaisa ishq tera mera
Mere ghamon ki raat ka
Tu ujla savera

Ye jo halka halka suroor hai
Tune kuch kiya toh zaroor hai
Ye jo halka halka suroor hai

Kisi ne na kiya hai
Jaisa ishq tera mera
Mere ghamon ki raat ka
Tu ujla savera..