Ginte the raaton ko laite
Hum taare
Gungunati thi phir hawaaein
Pehchani si dhunn

Hmmmm....

Toote the unn taaron mein
Kuch taare
Maangi thi jo duaaein
Unme thi tum

Tum.... thi tum

Ummeedon ki galiyon mein
Hota tha
Taash ke patton se banaya tha woh gharonda
Guzar bhi gaya waqt aur pata bhi na chala
Qissa bana jaane kab daastaan
Ho.. daastaan

Kadmon se phir mila ke
Chale kadam
Duniya se hum juda tha
Apni duniya mein hum

Hum... the hum
Haan hum