Teri ammi, meri mummy
Tere abbu, mere daddy
Teri mausi, meri khala
Tera brother, mera saala

Ishq mein saare ilzaam hain sache
Maine soch liye hai jo naam hain ache
Do saal mein honge tere bache mere bache

Jaaneman aah, jaaneman aah
Gale lag ja, jaaneman aah
Jaaneman aah, jaaneman aah
Gale lag ja, jaaneman aah aah aah…

Hmm.. teri shopping ka sara bojh uthaunga
Daily bachon ko leke school jaunga
Par anniversary ko bhul jaunga
Kaho manzoor yeh bhi kiya kiya kiya

Haan.. kaho ki chuttiyan har saal milengi
Gift har haal mein kamaal milegi
Jo rulaya toh jali daal milegi
Kaho manzoor yeh bhi kiya kiya kiya

Mmm.. aaj ke waade forever hain pakke
Tere bhi irade baby nahi kache
Do saal mein honge tere bache mere bache

Jaaneman aah, jaaneman aah
Gale lag ja, jaaneman aah
Jaaneman aah, jaaneman aah
Gale lag ja, jaaneman aah aah aah...

Haan main toh har sham tera wait karungi
Tujhe picture ke liye late karungi
Iss tarah sari umar date karungi
Meri jaan te hai yehi kiya kiya kiya kiya..

Yaaron ki partyon ko chod aaunga
Meri har ex ka dil tod aaunga
Teri kurti ke button jod launga
Meri jaan te maine bhi kiya kiya kiya kiya..

Ek do baki ab kaam hain ache
Chal tu bhi soch le jo naam hain ache
Do saal mein honge tere bache mere bache

Jaaneman aah, jaaneman aah
Gale lag ja, jaaneman aah
Jaaneman aah, jaaneman aah
Gale lag ja, jaaneman aah aah aah..