Barson ho gaye bichhde
Ab saath nahi ho tum
Phir aisa kyun lagta hai
Jahaan main hoon wahin ho tum

Kya karoon main apni ungliyon ka
Kisi ki bhi tasveer banun
Tumhari bann jaati hai
Ye sirf mera pagalpan hai
Ya tum bhi mere liye pagal thi

O o...

Kal raaste mein gham mil gaya tha
Lag ke gale main ro diya
Jo sirf mera tha sirf mera
Maine usey kyun kho diya

Haan woh aakhein jinhe main
Main choomta tha bewajah
Pyaar mere liye kyun unme baaki na raha

Ho...

Humnava mere tu hai to meri saansein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina ho...

Humnava mere tu hai to meri saansein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina ho...

Har waqt dil ko jo sataaye
Aisi kami hai tu…
Main bhi na jaanu ye
Ki itna kyun laazmi hai tu

Neendein jaake na lauti
Kitni raatein dhal gayi
Itne taare giney ki
Ungliyaan bhi jal gayi ho...

Humnava mere tu hai to meri saansein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina
O...

Tu aakhri aansu o yaara
Hai aakhri tu gham
Dil ab kahaan hai jo dobara
De dein kisi ko hum

Apni shaamon mein hissa
Phir kisi ko na diya
Ishq tere bina bhi
Maine tujhse hi kiya
O…

Humnava mere tu hai to meri saansein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina
Ho..
Faasle na de ki main hu aasre tere
Bata de kaise main jiyunga tere bina

Aazma raha mujhe kyun
Aa bhi ja kahin se ab tu
Kaise main jiyunga tere bina

Seene mein jo dhadkane hain
Tere naam pe chale hain
Kaise main jiyunga tere bina

Jawaab mill gaya mujhe
Main tumhari zindagi mein kahin nahi tha
Phir bhi main hi tumhari zindagi tha
Sirf main hi tumhaare liye pagal nahi tha
Tum bhi…

Humnava mere tu hai to
Meri saansein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina