Mujhe baksh de, mujhe bakhsh de
Ya mere Ghafoor-ur-raheem

Main reza reza bikhar raha hoon
Sambhaal mujhe
Andhera mujh mein utar raha hai
Ujaal mujhe
(x2)

Main khud se bichhad gaya hoon
Jaise aag se dhuaan
Naa zameen na aasmaan hai
Yeh main aa gaya kahaan..

Mujhe mera pata de Khudara
Koi rasta bata de Khudara
(x2)

Aaya kahaan se itna zehar lahu mein
Ganga ka paani behta tha mere vazu mein
Jo dikhta hai woh mera wajood nahi
Aaj main apne aap mein kyun maujood nahi

Woh nahi tha jab humara
Toh uska gham hai kyun
Dil jal raha hai lekin
Yeh aankh namm hai kyun

Mujhe mera pata de Khudara
Koi rasta bata de Khudara
(x2)

Le le meri saansein mujhko mar jaane de
Jaane kab se be-ghar hoon ab ghar aane de
Kaabe tak tujhe main sochun
Tera khayal karun
Saamne aa main tujhse ek sawal karun

Main ghalat hoon ya ke duniya
Yaa kahin ghalat hai tu
Mujhe de jawaab Maula
Main hoon tere rubaru..

Mujhe mera pata de Khudara
Koi rasta bata de Khudara
(x2)