Yeh duniya ek sabse bade loser ki hai dastaan
Usko tha vardaan phatti rahegi g**d
Aur hamesha rahega woh pareshaan
Struggle aur kangaali mein hi
Nikalega uska saara jeevan
Aur koi nahi yeh badnaseem bhai sahab
Main hi hoon woh mahaan

Hamesha himmat thi laachar
Aur honsle the mere bimaar
Failure ke sagar mein khali pada tha
Umeedon ka bichhaya jaal
Darta tha yaar kahani ka sala nikalega
Diya nahi koi saath
Ya mere saare pay notes sacrifices
Ho jayenge yoon bekaar

Koi function mein jata nahi tha
Kyunki dhang ke kapde nahi the
Aur jhoot bolta tha doston se
Ke samaj kaam mein fasa hua hoon na be

Day by day akele kaatne ko
Daudta tha yeh shehar Bombay
Aur kitni zor se chikhun ki
Aapko meri aawaz sunayi de

Lalchata tha apni
Basic zarooraton ki cheezon ko dekh dekh
Chai pe jee raha tha
Jab dost kha rahe the cakes
Takes aur protein shakes
Jaise taise phone ko chala raha tha
Laga laga ke cello tapes
Chillaron ki aawaz se hi
Hamesha bajti rehti thi meri jeb

Sab dete hain prawachan
Kyunki unki life chal rahi hai tanatan
Lekin jab halat ho jaaye tang
Saare raaste ho jaaye band
Shakal ka udaa hua ho rang
Aur udaas rehta ho mann
Tab jhand samajh mein aata hai
Koi bhajan aur motivation

Fir kaahe ka vyavhar
Aur kon saale yaar rishtedaar
Woh baat karte bhi hain sambhalkar
Kahin yeh wapis mang na le udhaar
Ab toh thaan liya tha
Kitna bhi samay mujhe karde lachaar
Iss war mein toh at least
Nahi dalne wala hoon main apne hathyaar

Dhundli thi raahein aur anjaana tha safar
Kismat ka kyun barsa mujhpe aisa kaher
Bejaan thi zindagi aur Khuda tha bekhabar
Zindagi se haara hoon main hoon aisa loser

Kisi ki bhi shakal pe
Nahi likha rehta hai unka sach
Isliye ankhein meech kar
Mat karna kisi ko bhi yunhi judge
Ho sakta hai isiliye kho raha hai
Woh baar baar apna dheeraj
Kyunki shayad anaaj lene ke paise bhi ni
Kar pa raha hai behcara kharch

Kaam milne ki charcha ko
Ab ek ho gaya tha arsa
Yeh woh badal the jo garja
Par kabhi nahi tha sala barsa
Maa ko ek choti si khushkhabri sunane
Saalon main tha tarsa
Phir jhooth bol diya karta tha
Abey marta kya na karta

Phir akela hua toh pata laga
Mera himmat hi mera asli saathi hai
Aur iss ladai ko ladne ke liye
Mera khud ka saath hi mera liye kaafi hai
Ek aawaz bolti thi khatam nahi hua be
Picture abhi baaki hai
Har kutte ka din aata hai
Saale phir toh tu ek chota haathi hai

Dhundli thi rahein aur anjana tha safar
Kismat ka kyun barsa mujhpe aisa kaher
Bejaan thi zindagi aur Khuda tha bekhabar
Zindagi se haara hoon main hoon aisa loser

Cheekhne ko mann karta tha
Koi saala meri haalat bhi toh dekho
Kutte jaise halaaton mein raha hoon
Na jaane kitne mahino
Dhang se khaya bhi nahi tha
Kitne dino se maine you know
Lekin ek baar kisi ke muh se yeh nahi nikla
Ki tere ko kuch chahiye Dino

Kyunki asliyat yeh hai
Koi bhi nahi chahata tumhara bhala ho jaaye
Kehne ko sab saath hai
Par akele ladni hai meri bhai tere ko ladayi
Par dekhna sab aa jayenge hissa maangne
Jab fasal ki hogi katayi
Yeh zaroori nahi kisi c**tiya ki rai
Ban jaaye ab teri sachayi

Main janta hoon kaise ghut ghut ke
Jheli hai maine ye saza
Par dil kehta tha raja
Bahut jald aane wala hai ek number maza
Sab bhikra hua tha par vishvas tha
Main fail nahi ho sakta
Kyunki ghar pe bhooki pyasi
Dharne pe baithi hai meri maa

Khud se jag haar ke jaayega tu kidhar
Tujhko laana padega ladne ka jigar
Honge sach sapne bas thoda aur kar sabar
Tujhe bhi jeetna hai sun le tu loser