Do jism dono ki jaan ek hai
Taare hain do aasmaan ek hai
Khudko khudi mein chhupaaye kahaan
Duniya se hum door jaayein kahaan

Ye afsaana hai rooh ka
Jismon se kya matlab humein
Jaan-e-jaana...
(x2)

Apne hi jism se chal nikal jaayein hum
Tod dein aaina aur badal jaayein hum
(x2)

Mehsso ho par dikhaai na de
Khuko bana le hawa
Na ho ke bhi hum rahe saath mein
Ho jaayein aise judaa

Chalna zaroori toh hai
Raahein zaroori nahin
Milne ko baahein zaroori nahin

Apne hi jism se chal nikal jaayein hum
Tod dein aaina aur badal jaayein hum
(x2)

Yeh ishq koi hawas toh nahin
Jisko badan chahiye
Seene mein mere tere naam ki
Bas ik chubhan chahiye

Khamoshi banke dono rahein rubaru
Karte hain sannate bhi guftagu

Apne hi jism se chal nikal jaayein hum
Tod dein aaina aur badal jaayein hum
(x2)