Duniya gol hai aaj maine maan liya
Wahin par pahuncha hu jahan se start kiya
Tha jhujharu ab main haar gaya
Itne dino ka sangharsh barbaad gaya

Uh! main aapa ho raha hoon
Jaagta hoon kam zyada so raha hoon
Kayarta hi seema paar logon ko
Chup karata tha aaj khud main ro raha hoon

Gumnami ka andhera behtar hai
Likhna nahi fayeda kuch bhi keh kar hai
Befizul ki utha li jimewari maine
Tezz kulhadi karke uspe gardan mari maine

Har nazar gadi mujh par
Nazar lagi mujhe
Main niche hoon ya sabse upar
Khabar nahi mujhe

Dheron bhav ghabrahat ke mere munh pe
Kheench ke rakhta hoon aaj kal main kaan khud ke
Upar se vishvash uthta ja raha hai
Rinni hoon tumhara bhai ga raha hai
Rahu betha sar par ketu aane wala hai
Kismat khuli nahi kabhi us par laga tala hai

22 salon se phansa hoon is zindagi mein
Main hi akela berozgar hoon apni gali mein
Nashihat dete log sath nahi deta koi
Vaada karte dete tod jaise hain neta koi

Dhoondhne mein laga khazana Kuber ka
Waqt ki barbadi karta hosh nahi der ka
Mushibat mein nahi main khud hi mushibat hoon
Khushiyan khareedni hai bolo kya keemat doon

Kya jeevan mera hoga theek hai mujhe shaq
Khud ki khushi khudkhushi hai mera haq
Buzdil nahi ji baatein kahin ek soch hai
Sab ek railgadi mein sawar bas alag coach hai

Aaj dukh mein hoon agla padaav kaamyabi
Main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi
Jaante nahi beshaq se sunte mere gaane
Na rakho dilchaspi agar koi meri maane

Thaane thane mein likha hai mera naam
Bura insaan jo karta bas acche kaam
Sham hote hi aa jati mujhe teri yaad
Kasam se mohabbat nahi hui tere baad

Jo tere saath tha mera naam mitana hai
Khud ko bhula hoon yaad dilana hai
Asal mein kho jana hi manzil pana hai
Main poora pagal ye duniya pagalkhana hai

Aankhen masal li main ki poori tyari hai
Door karni hai dikkatein jitni bhi sari hain
Sab kuch karna hai theek koshish meri zari hai
Sabse piche khada tha ab meri baari hai
Meri baari hai, meri meri baari hai
Sabse piche khada tha ab meri baari hai
Meri baari hai, meri meri baari hai
Sabse piche khada tha ab meri baari hai

Badbola hoon mujhe kya lena dena kya hoti hai taal
Kalam se wafadari nahi chhodi philhaal
Dhanaywad tahe dil se karta hoon shrotagano ka
Jinhone rakhe sar aankhon par
Khurafati mere khayalat

Ab lekin mujhko pachtana nahi hai phir se
Akela hi accha hoon door bhagu mehfil se
Badi mushkil se ab jaake suni hai dil ki
Accha laga mujhko aaj khud hi se milke

Dheeraj, sanyam, sanjeedgi
Sabki naak mein dam kiya
Aankhon mein jhonki dhool
Aur kaam kam kiya

Ab laanghna hai shamtaaon ko
Aadto ka karna hai ulhangan
Daridarta ko chhod
Mehnat se sapna karna hai sampan
Dum kham kam nahi
Bas jeet ki darkaar hai
Dil aur dimaag mere dono bimaar hai
Mujhse milto julto ki tadat bharmaar hai
Aap ke samashq ye kuch mere vichar hai!