Aye zindagi qatra hoon main
Ya main hoon dariya tumhara
Aye zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana
Ik baar aankhein milake bata to
Kya naam hai mera…

Chaand hoon main ya chaand ka tukda
Ya main hoon daag tumhara

Aye zindagi qatra hoon main
Ya main hoon dariya tumhara
Aye zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana

Main chadhta savera
Ya hoon kaali raat
Ya mit mit ke banti hui qaaynaat
Main girta sitaara hoon
Ya hoon falak
Ya waqt ki aankhon se tooti palak

Hai ugte sooraj ki mujhme tapish
Hai jalti sitaro ki mujhme khalish
Ya mitti ka chota sa main hoon diya
Maa ne se re raaz roshan kiya*

Aye zindagi main roshni
Ya main andhera tumhara
Aye zindagi main hoon marham
Ya zakhm main hoon purana
Ik baar aankhein milake bata to
Kya naam hai mera…

Chaand hoon main ya chaand ka tukda
Ya main hoon daag tumhara
Aye zindagi qatra hoon main
Ya main hoon dariya tumhara
Aye zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana

Main mitti mein hoon main chattano mein bhi
Main oas mein hoon
Main toofaano mein bhi
Ik naam mein kaise samaa paaungi
Main banjar mein hoon
Main baharon mein bhi

Main vaani gurbaani azaano mein bhi
Main vedon mein hoon
Main quraan mein bhi
Ek dhaam mein kaise samaa paaungi
Main gumbad mein hoon
Main minaaron mein bhi

Ae zindagi main hi Aleph
Main Omkara tumhara
Ae zindagi main hi khudi
Main khudara tumhara
Ik baar aankhein milake bata to
Kya naam hai mera…

Chaand hoon main ya chaand ka tukda
Ya main hoon daag tumhara
Ae zindagi qatra hoon main
Ya main hoon dariya tumhara
Ae zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana

Iktara Meera ka
Doha Kabire ka
Iktara Meera ka
Doha Kabire ka
Main khaali pyala hoon pagle fakire ka
Aaghaaz koi na anjaam hai
Mera toh koi bhi nahi naam hai

Toh kyun tu tere rakhwaale ghera lagate hain
Rasmon ke pinjre mein qaid karaate hain
Kyun daam dete hain thappa lagaate hain
Mujhse kyun main ki jung karaate hain
jung karaate hain
jung karaate hain…

Main behti nadi hoon mujhe behne do
Main pal pal sadi hoon mujhe rehne do
Dhaara ki tarah main zameenon mein
Main dhool ki tarah
Main hoon aasmaano mein

Teri hi beti hoon ae zindagi
Mitaaye mitungi na main do jahaano se
Ae zindagi tu hai meri
Main hoon sirhaana tumhara
Ae zindagi ik sach yehi
Baaki hai jhoota fasaana

Ik baar aankhein milake to maano
Nahi koi naam mera…
Nahi koi naam mera…
Nahi koi naam mera…

Naamkarann
Nahi koi naam mera…
Naamkarann
Nahi koi naam mera…
Naamkaran
Nahi koi naam mera…
Namkaran..
Nahi koi naam mera…