Saale sapne...

O sale sapne...

Ude badal ka ek tukda
Kaise main todun?
Doobe doobe dariya ka ek kona
Kaise nichodun?
Kaise bataao na raat din
Kaatun main dhoop ki dooriyaan
Baandhu main chaaon ki boriyaan
Jaanu na na na!

O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nas mein
Ab jahaan tu?
Aa raha hoon main wahaan

O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hoon main tere bas mein
Ab jahaan tu?
Aa raha hoon main wahaan

♪♫♬

Haan maine chaand ko churake
Maine loriyaan sunaake
Maine khud ko tha sulaaya
So ja.. so ja.. so ja...

Par tune battiyaan jalaa di
Tune dhajjiyaan udda di
Tune neend se uthaya
Abe saale sapne...

Ab to jagunga main raat din
Hosh uda doonga main tera
Picha naa chhodunga main tera
Chhodunga na na na...

O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nas mein
Ab jahaan tu?
Aa rahan hoon main wahan...

O saale sapne main tere sadqe
Ho gaya hoon main tere bas mein
Ab jahaan tu?
Aa rahan hoon main wahan...

O o...

Tu bhi hai badaa kamina
Main bhi kam nahi deewana
Dono ka hai ek gaana
Hey hey ho ho.. ha ha..

Aaja chhod de bagawat
Aaja odh le mohabbat
Aaja tujhse kya chhipana
Abey saale sapne...

Mujhko bhi latt hai teri
Tujhko bhi chaska mera
Ek hi rastaa tera mera
Aao na na na na..

O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nas mein
Ab jahaan tu?
Aa raha hoon main wahaan...

O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hai tu mere bas mein
Ab jahaan tu?
Aa raha hoon main wahan...