Saansein meri ab befikar hain
Dil mein basein kaisa ye pal hain
Baatein sambhal ja rahi hain
Palkon mein yunhi hassi hai
Man mein chupi kaisi ye dhoon hai
Har khawahishein uljhi kidhar hain
Pairon se jakhmi jameen hain
Nazrein bhi thahri huyi hain
Hai rukki har ghadi
Hum hain chalein, raahein yahin

Ye manjilein, humse khafa thi
Inn par chaayi oss si bewafaa thi
Baahon mein ab khoyi hain raatein
Hathon mein khuli hain ye shaamein
Ye subha hai nayi
Hum hain chalein, raahein yanhi

Main apne hi man ka hosalaa hoon
Hai soya jahaan par main jagga hoon
Main peeli sehar ka nasha hoon
Main madhosh tha ab main yahan hoon

Saansein ab meri befikar hain
Dil mein basein kaisa ye pal hain
Nagmein khille hain ab saarein
Pairon tallein hain misaalein
Tham gayi hai jameen
Hum hain chalein, raahein yanhi

Main apne hi man ka hosalaa hoon
Hai soya jahaan par main jagga hoon
Main apne hi man ka hosalaa hoon
Hai soya jahaan par main jagga hoon