Tere sang yaara
Khush rang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara

O karam khudaya hai
Tujhe mujhse milaya hai
Tujhpe marke hi toh
Mujhe jeena aaya hai

O tere sang yaara
Khushrang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitaara

O tere sang yaara
Khushrang bahara
Main tera ho jaaun
Jo tu karde ishaara

Kahin kisi bhi gali mein jaaun main
Teri khushboo se takraun main
Har raat jo aata hai mujhe
Woh khwaab tu..

Tera mera milna dastoor hai
Tere hone se mujhme noor hai
Main hoon soona sa ik aasmaan
Mehtaab tu..

O karam khudaya hai
Tujhe maine jo paaya hai
Tujhpe marke hi toh
Mujhe jeena aaya hai

O tere sang yaara
Khushrang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara

O tere sang yara
Khush rang bahara
Tere bin ab toh
Na jeena gawara

Maine chhode hain baki saare rastein
Bas aaya hun tere paas re
Meri aankhon mein tera naam hai
Pehchaan le..

Sab kuch mere liye tere baad hai
Sau baaton ki ik baat hai
Main na jaunga kabhi tujhe chhod ke
Yeh jaane le..

O karam khudaya hai
Tera pyaar jo paaya hai
Tujhpe marke hi toh
Mujhe jeena aaya hai

O tere sang yaara
Khush rang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara

O tere sang yaara
Khushrang bahara
Main behta musafir
Tu tehra kinara