Kab se dil tha dhoondhta
Jeene ki bas ek wajah
Tu mill gaya phir inn raahon
Paayi taqdeer in haathon
Shaamil huaa mujh mein jo tu
Mujhpe mera ab haq nahi

Tu wafa hai meri
Tu subah hai meri
Tu mera hai junoon
Dastaan hai meri

Tu yahaan, tu wahaan
Aasmaan kya zameen
Main karun sau dafa
Woh khata hai meri

Tu jo nazdeek hai kismat hai meherbaan
Haadse se kam nahi saansein tere bina

Tu jo nazdeek hai kismat hai meherbaan
Haadse se kam nahi saansein tere bina

Mujhe gumraah karde
Magar tu rehna saath hi
Phir bhala saans ye roothe
Yaa phir ye zindagi

Badlun kabhi main na jisey
Bann ja wohi aadat meri

Tu wafa hai meri
Tu subah hai meri
Tu mera hai junoon
Dastaan hai meri

Tu yahaan, tu wahaan
Aasmaan kya zameen
Main karun sau dafa
Woh khata hai meri

Main tere naam ko gungunata jaaunga
Tu meri dhun bane main gaata jaaunga

Bas tujhe chaahne ke alawa
Kaam ho na koi
Tere khaatir jiyunga
Jab tak hai ye zindagi

Tujhe bhool ke do pal jeeyun
Aisi fitrat nahi...

Tu wafa hai meri
Tu subah hai meri
Tu mera hai junoon
Dastaan hai meri

Tu yahaan, tu wahaan
Aasmaan kya zameen
Main karun sau dafa
Woh khata hai meri