(Khushiyon ki dopahar hui
Na jaane kaise gham tha
Sab zyada hi to tha
Bas wo hi kam tha
Kami uski pal pal khal rahi thi
Betabi wajah se milne
Bada machal rahi thi
Phir khuli aankhon mein
Khawab ban ke wo gai
Dikha ke dil
Le ja rahi hoon likha ke)

Kitno ne saanche, rishte dhaage
Resham si dori, kheenche bandhe
Par main na sunta tod dhaage
Chhod ke pinjra pichhe, main aage
Main bass yaha pe mann lagta nahi

Haan mera dil to wahin hai wahin
Haan mera dil to wahin hai wahin
Jis jagah tu... hota hai!

Jahan kandhe pe mere
Sar rakh ke sota hai

Haan mera dil to wahin hai wahin
(x4)

Mor ke saare pankh khule
Waisa hi main jaaga zara sa
Penche ladati patang koi
Kat ke phirta main jata jata sa

Ab yahaan mann, lagta nahi hai
Ab bas yahaan man lagta nahi

Haan mera dil to wahin hai wahin
Haan mera dil to wahin hai wahin
Jis jagah tu... hota hai!

Jahan kandhe pe mere
Sar rakh ke sota hai

Haan mera dil to wahin hai wahin
(x4)