Yaqeen aise toota bhayam apna loota
Ye samjhi te hum ki
Watan hai hamara tumhara
Thi kinki ghalti
Gharonda hi toda

Ye samjhi te hum ki
Ye ghar hai hamara tumhara

Ye zinda chitayein
Ye murda duaayen
Kahin teer-o-nastar
Kahin cheekhon aahen

Ke insah se insah hi bachta fire
Maara maara..

Maaon ke sar se
Cheeni hai chadar
Bilkate ye nanhe
Ye besaya beghar

Kamjor kaandho pe aulaad ke sar
Rakshak aaj ravan ke afsar
Ke daaman hi insaniyat ka hua
Paara paara..