Aankhein meri kehti hain ke
Tera hi ho bas nazaara
Tere bina yeh zindagi
Jeena nahi hai gawara

Samandar se bhi gehra
Hai aisa pyaar mera
Kehta hai ye zamana
Main tera deewana

Tu hi mandir, mera madina
Main tera deewana

Thehra waqt ho jaise yeh thehra
Tishnagi pe duniya ki bandishon ka pehra
Karde ada mujhko apni wafa
Ik pal bhi na tere bina
Yaar mere nahi mujhko jeena

Tu hi mandir, mera madina
Main sahil tu mera safeena

Ho wo...

Chehra tera ho jaise sawera
Tu na ho toh
Ho jaaye jaise andhera
Tere bina jeena hai ik sazaa

Tu hi mandir, mera madina
Main tera deewana

Tu hi mandir, mera madina
Main sahil tu mera safeena