Tarz-e sanaayi man nami-daanam
Ay noor-e qalbi ay noor-e rooham
Kaa'ba-e dil-ha qibla-e dil-ha
'Ishq-e haqeeqi khaaliq-e'aalam

Maula, maula, maula...

Jahaan bhi dekho tera nishaan hai
Mahraab-e dil men teri azaan hai
Tu hi ahad hai, tu hi hai waahid
Tu hi hai makhfi, tu hi jali hai

Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai

Kisi ka ahsaan kyoon uthaaye
Kisi ko haalaat kyoon bataaye
Tum hi se maangen ge tum hi do ge
Tumhaare dar se hi lau lagi hai

Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai

Allaah hu...
Allaah Allaah hu...
Allaah hu
Allaah allaah hu

Ay mere maalik
Ay mere maalik mere khaaliq mere haajat-rawa
Jab nahi ho saath koyi
Jab nahi ho saath koyi bas tera hai aasara
Ay mere maalik mere khaaliq mere haajat-rawa
Jab nahi ho saath koyi bas tera hai aasara

Chhaaye kahin jo gahra andhera
Teri 'ata se aaye sawera
Teri hi khalqat chaand taare
Tumne hi bakshi yeh roshni hai

Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai

Main faqeeri mein bhi hoon kitna qalandar dekho
Dekhne waalo zara mera muqaddar dekho

Khata hui to khata ko meri
chhupaaya hai tum ne
Karam apna kar diya apna
banaaya tum ne

Kisi ka ahsaan kyoon uṭhaayen
Kisi ko haalaat kyoon bataayen
Tum hi se maangenge tum hi do ge
Tumhaare dar se hi lau lagi hai

Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai
Yeh sab tumhaara karam hai aaqa
Ke baat ab tak bani hui hai

Tu khuda-I lam yazil
Tu hi hai Rabb ul-'aalameen
Tere sajde mein jhuki dono jahanon ki jabin
Tu hi awwal tu hi aakhir
Tu ahad waahid bhi tu
Wird tere naamon ka ho raha hai ku-ba-ku (x4)