Ae dil na kar tu chahate
Tujhko nahi ijaazatein
Dahleez se naa utar

Khushiyaan nahin iss raah mein
Milte hain gham iss chaah mein
Gham se pyaar na kar...

Apni kabhi tu kasmein na khana
Duniya ki rasmon ko tu nibhana
Pachhtayega tu warna dil sambhal jaa zara...

Ae dil na kar tu chaahatein
Tujhko nahi ijaazatein
Dahleez se naa utar

--- VERSE 1 ---
Tanha raho yaa bheed mein
Hoti nahi kam yeh tanhaai
Yeh ishq mein seelan bhari
Aati kahaan se gehraai?
Kaise rahega tanha akela
Ae dil tu masoom hai
Aate hain kaise aankhon mein aansu
Kya tujhko maloom hai?

Apni kabhi tu kasmein na khana
Duniya ki rasmon ko tu nibhana
Pachhtayega tu warna dil sambhal jaa zara...

Ae dil na kar tu chahatein
Tujhko nahi ijaazatein
Dahleez se naa utar

--- VERSE 2 ---
Ye shehar hai bikhra hua
Ismein toote hi dil rehte hain
Iss dard se ae mere dil
Tera yeh poorapan sehte hai
Dekhe bina bhi apne Kishan ko Meera adhoori nahi
Jeene ki khaatir ye pyar koi itna zaroori nahi

Apni kabhi tu kasmein na khana
Duniya ki rasmo ko tu nibhana
Pachhtayega tu warna dil sambhal jaa zara

Ae dil na kar tu chaahatein
Tujhko nahi ijaazatein
Dahleez se naa utar...