Aisa dekha nahi khoob-soorat koyi
Jism jaise ajanta ki moorat koyi
Jism jaise nigaahon pe jaadu koyi
Jism naghmah koyi
Jism khushbu koyi
Jism jaise mehakti hui chaandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise ke khilta hua ik chaman
Jism jaise ke sooraj ki pehli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen

Husn-e jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn-e jaanaan ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e jaanaan ki ta'reef mumkin nahi

Jaane kaise baandhi tune akhiyon ki dor
Mann mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subha zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yeh jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen

Aafreen Aafreen Aafreen...

Chehra ik phool ki tarah shaadaab hai
Chehra uska hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-e ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra taa'beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen

Husn-e-jaana ki ta'reef mumkin nahi
Husn-e-jaana ki ta'reef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hamnisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn-e jaanaan ki ta'reef mumkin nahi

(sargam)

Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Aafireen