Baatein baatein baatein
Charo ore chale bas baatein baatein
Milte sab bhoot hai
Gawah phir bhi kuch na kar paate
Aur ye jitne bhi jo daftar se hain
News chalate bakar bakar ke
Degree wale muft ka samachar banaate

Sab kuch hai manoranjan
Koi jal ke mari koi khud hi jali jo
Jo kal thi pari ab chup hai khadi
Par khabar badal gayi agli ghadi
Phir huwe morche kaam chhod ke
Jaagi Delhi ban gaye hero
Dal gaye status dal gayi selfie
Do din mein phir thinking zero

Chote kapre nahi
Choti teri soch hai
Tu unme se hai beta
Toh tu is duniya pe bojh hai

Chal ek deal kare
Tu meri behan main teri behan
Tujhe meri ka dikhna tan
Aur khud behan pe hoti jalan
Phir kyun nazron se
Usko nanga karta hai
Aurat ko chhedta
Niyat ko ganda karta hai
Milta kya hai jab
Tujhko jaana hai jail mein
Aur behan bani jinda laash
Tere chote se khel mein

Andar se khush hoon
Meri sagi behan nahi koi bhi
Mujhko nahi chinta
Ke kya woh chain se soyegi
Main nahi swarthi
Ye dard mujhko jacha nahi
Hum janwar ya napunsak hai
Kyun ki mard sala bacha nahi

Aurat bojh nahi
Bojh banaya humne hai
Sati se leke baal vivah
Dahej badhaya humne hai
Samaaj banaya humne hai
Riwaaj banaya humne hai
In auraton ki dabi huyi
Aawaz banaya humne hai