Dhai akhar prem kahaani
Bezubaan naino ki zubaani
Dhai akhar prem kahaani
Bezubaan naino ki zubaani
Padhte hi dil bas kho hi gaya
Jiska tha darr woh ho hi gaya (x2)

Naina mere mujhse hi chhup ke baraste rahe
Phir bhi bezaar na hua
Palke bhicha bas ik jhalak teri paane ki khatir
Dhoondhe ye tera hi pata
Na jaane ise kya hua

Ishq hi aadat wahi purani
Thoda sa machla ki nadani (x2)

Raaton ki neend chura le gaya
Jiska tha dar woh ho hi gaya

Saansein bahe kuch na kahe dhadke bekhabar
Kyun aitbaar na raha
Tham ke chale jismon ko khud se mila de ye shatir
Karde na koi ye khata
Na jaane ise kya hua

Pyar mein hoti hai manmaani
Padti hai kimat bhi chukani (x2)

Soye soye armaan jaga ke gaya
Jiska dar tha woh ho hi gaya