Dhoop ka ek tukda hoon main
Tu safar hai ghani chhaav ka
Mere seene mein hai dhadkane
Tu mila toh pata yeh chala
Tu mila toh pata yeh chala

Dhoop ka ek tukda hoon main
Tu safar hai ghani chhaav ka
Tu safar hai ghani chhaav ka

Ek zameen ke siva
Kuch nahi tha yahan
Tu mila toh mile raaste
Muntazir hoon tera

Daud kar aaunga
Tu zara si toh aawaaz de
Mere chehre pe teri nazar
Zindagi ka asar ghol de

Dhoop ka ek tukda hoon main
Tu safar hai ghani chhaav ka
Tu safar hai ghani chhaav ka

Lafz bejaan se the labon pe pade
Naam tera mila jee uthe
Aisi deewangi pehle dekhi nahi
Tere andaaz pe hum lute

Maine manjoor ki teri har ilteja
Apni palkon tale di panaah
Ishq ki waadiyon mein ye dil
Baadlon sa hua manchala
Baadlon sa hua manchala

Mere seene mein hai dhadkane
Tu mila toh pata ye chala

Dhoop ka ek tukda hoon main
Tu safar hai ghani chhaav ka
Toh tu mila toh pata ye chala
Hmmm.. lala...