Jaane tu meri kya hai
Jaane main tera kya tha
Saath tere har pal
Saath har lamha tha

Jaane kaisi kasak hai
Jaane kaisi tadap hai
Kyun yeh aankhen num hai
Jaane kaisa gham hai

Hai dosti humko yaqeen tha
Dosti aur kuch bhi nahi tha
Par kaise tujhko baatein
Kyun chubhte hain pairon mein kaante

Jaana dil jaana
Kaise maine na jaana
Ke pyaar yehi hai
Yeh jaane tu ya jaane na

Jaana dil jaana
Kaise tune na jaana
Ke pyaar toh hai
Yeh jaane tu ya jaane na

Jaane tu meri kya hai
Jaane main tera kya tha
Saath tere har pal
Saath har lamha tha

Kyon aise chubhti hai tujhse doori
Kyon lagti hai zindagi yun adhoori
Chhuaa kisi ne tujhko toh laga ki
Dil mein kisi ne jaise aag laga ke...

Duniya jala di hai meri.

Jaane tu meri kya hai
Jaane main tera kya tha
Saath tere har pal
Saath har lamha tha...

Jaane kaisi kasak hai
Jaane kaisi tadap hai
Kyun ye aankhen num hai
Jaane kaisa gham hai

Jaana dil jaana
Kaise maine na jaana
Ke pyaar yehi hai
Yeh jaane tu ya jaane na

Jaana dil jaana
Kaise tune na jaana
Ke pyaar toh hai
Yeh jaane tu ya jaane na