Ye lamha jo kahin
Paani sa beh gaya
Jaate jaate yun hi
Dheere se keh gaya

Jeene ka shauq hai toh
Marne ka khauf kya (x3)

Teri saari khwaishein bata
Kyun hai bezubaan
Keh de zamaane se abhi
Apni marziyaan

Jeene ka shauq hai toh
Marne ka khauf kya (x2)

Kyun dil pe ab koyi
Rakhta hai karz tu
Saasnein jitni bhi hain
Kar de sab kharch tu

Jeene ka shauq hai toh
Marne ka khauf kya (x2)

Lambi race ka hoon ghoda main na hafta
Apna raasta zindagi main taraqqi ko naapta
Kya sawaal ba tere sar pe jo sawaar sa
Tension paal na wata de ghum ko
Choole ab tu Aasma

Mumbai ke chokre rok sakey to rok le
Thokre har mod pe ja tu ja todle
Hum danke ki chot pe full power josh mein
Jeene ka shauq hai maut ka na khauff hai

Hum na darte kya bass karte jo aata dil mein haa
Bilkul bhi filmy na par lete maut se lafde kya
Faltu ka roona nai socha jo karna wahi
Fukat darte nahi char din ki zindagi toh jee le sahi

Jahan tera saath chod de
Saari yaariyan
Wahan tere kaam aayengi
Yeh jaabaazian

Jeene ka shauq hai toh
Marne ka khauf kya (x2)

Bhool ja baate sab purani
Ab badhani hai kahani
Ye zindagani hai suhaani
Kyun ki jeene ka shauq hai toh
Marne ka khauf kya