Paalne mein chand utra
Khoobsurat khwab jaisa
God mein usko uthata toh
Mujhe lagta tha waisa

Saara jahan mera hua
Saara jahan mera hua
Subah ki woh pehli dua
Ya phool resham ka

Masoom sa, masoom sa..
Mere aas paas tha masoom sa..
Mere aas paas tha masoom sa..

Ek kamra tha magar
Saara zamana tha wahan
Khel bhi the aur khushi
Dostana tha wahan

Chaar diwararon mein rehti
Thi hazaron mastiyan
Thhe wahi patwar bhi
Sagar bhi the aur kastiyan
Thhe wahi patwar bhi
Sagar bhi the aur kastiyan..

Meri toh woh pehchaan tha
Meri toh woh pehchaan tha
Ya yun kaho ki jaan tha wo
Chand aangan ka

Masoom sa, masoom sa..
Mere aas paas tha masoom sa..
Mere aas paas tha masoom sa..
Haan.. masoom sa..