O Ho ho...

Tera pyar jeevan ka hai aaina
Ho tera pyar jeevan ka hai aaina

Jahaan jahaan dekhun
Tu hi tu hai saajna
Tera pyar jeevan ka hai aaina
Ho tera pyar jeevan ka hai aaina

Aaj ki raat apna bhi hoga milan
Pyar ki hum likhenge kahaani
Bas yehi sochke dil dhadakne laga
Ho gaye mad'hosh do naujawani
Do naujawani...

Tere pyaar ke rang se
Ang ang rangna...
Tera pyar jeevan ka hai aaina

Humne sadiyon se chaaha tumhe toot kar
Ek dooje se hum na khafa hon
Jaane ye raat phir ho na ho kya pata
Yun mile phir kabhi na juda ho'n
Kabhi na juda ho'n

Toote na aisa bandhan humein jodna...
Tera pyar jeevan ka hai aaina
Ho tera pyar jeevan ka hai aaina

Aankh banke tujhe dekhti hi rahoon
Pyar ki aisi tasveer ban jaa
Teri baahon ki chaaon se lipti rahoon
Meri saanson ki taqdeer ban ja
Taqdeer ban ja...

Mere saath waada kiya
Nahi todna...
Tera pyar jeevan ka hai aaina
Ho tera pyar jeevan ka hai aaina