Rahi na main ab meri
Rahi na main ab meri
Ho gayi haan kuch teri

Mohe ab aur na tarsaa...
Tu neer mera, main meen teri
Mohe ab aur na tarsaa...
Tu neer mera, main meen teri
Rahi na main ab meri..
(Neer: Paani, Meen: Machli)

Bandh gayi hoon, main
Bandh gayi hoon
Janam janam ke liye
Tere preet bandhan se

Liptaa hai tu ajgar jaise
Mere man ke chandan se
Mujhe nahi bhaan mera
Japti hoon naam tera

Apan daras se bhar de
Nain gagriya meri..

Mohe ab aur na tarsaa...
Tu neer mera, main meen teri
Mohe ab aur na tarsaa...
Tu neer mera, main meen teri
Rahi na main ab meri

Itnaa sohe...
Itnaa sohe ab tu mohe
Jaise aakhon ko anjan
Tera hi rasta dekh raha hai
Mera ye pagal man..
Mere man ke mandir mein
Goonje naam tera
Apne hi rang mein rang de
Kar na deri...

Mohe ab aur na tarsaa...
Tu neer mera, main meen teri
Mohe ab aur na tarsaa...
Tu neer mera, main meen teri
Rahi na main ab meri