Ghar se nikla hoon main
Apni tanhaai lekar
Kuch kusoor hai mera
Kuch teri bewafaai lekar
Chala hoon main tere dar se
Apni naraazgi lekar
Kuch thi ghalatiyan thi meri
Kuch teri ruswaai lekar

Khoya sa hoon main, khoyi si hai tu
Awaara sa main, alag si hai tu
Toota sa hoon main, tooti si hai tu
Haara sa hoon main, khafa hai tu (x2)

Mujhko toh yun lagaa
Taaron ke beech sadaa
Rahegi meri har waqt ikk jagah

Jaage toh thi subah
Soye toh thi subah
Raaton ko bhi woh sooraj na dooba

Tum hosh dilaate kaise
Chhod aaye tumhari duniya
Bheed ne kiya paagal
Sun liya humein jo sunaya

Khoya sa hoon main, khoyi si hai tu
Awaara sa main, alag si hai tu
Toota sa hoon main, tooti si hai tu
Haara sa hoon main, khafa hai tu (x2)

Jo hota hai huaa
Tujhe kho kar ye laga
Kitna woh saccha pyar tha tera
Ye thi meri sazaa
Jo tha ikk waqt mera
Kisi aur ki duniya mein ja basaa

Shiqwa bhi karte kaise jab door kiya hai tujhko
Sun lete sadaa tumhari jab bula rahe the mujhko

Khoya sa hoon main, khoyi si hai tu
Awaara sa main, alag si hai tu
Toota sa hoon main, tooti si hai tu
Haara sa hoon main, khafa hai tu...